Hello Dosto, Aaj Ham is Post me sikhenge, apne blog ya website ke Sitemap ko Google Serach Console me submit kaise kare, Jisse ki aapke blog ke sabhi post ko Google Rank kar sake. Naye Bloggers ke liye ye bahut jaroori hai, Kyunki naye bolggers ko apne blog ko rank karane me kaafi problem aati hai. apne blog ke posts ko google search engine ke top result me lana bahut ni muskil ka kaam hai, Ese me agar aap google search engine me sitmap submit nahi karte hai to aapka blog rank nahi hogi, Aur aapke blog par traffic bhi nahi aa payegi.
Naye Bloggers ke liye apne blog ko google search engine par index karana, aur 1st page ke top me show karana thodi problem hoti hai, Aur Blog nayi hone ke kaaran google search engine bhi index karne me thoda time leta hai. Lekin iska matlab ye nahi hai ki sitamap submit kiye bina aapka blog search engine ke 1st page par index karega. Aapko sabhi search engine me sitemap submit karna hoga.
Sabse pehle aapko Google Search Console par Apne Blog ko Add Property par click karke add karana hoga. Uske baad aap sitemap ko google search console me submit kar payenge. Agar aap ko nahi pata ki Sitemap kaise banate hai to is link par click karke padh sakte hai. Sitemap ko Google Search Console par submit kar se fayda ye hai ki seach engine hamare blog aur posts ko fast index karta hai, Aur google google se hame jaldi aur acchi traffic milti hai. Iske alawa Google .xml sitemap file support karta hai. isliye aapke paas .xml format me sitemap hona chahiye. Agar nahi hai to Sitemap kaise banaye ye post read kare.
How To Submit Sitemap To Google Search Console
Apne Blog Ya Website Ke Sitemap Ko Google Ke Search Engine me show karane ke liye Google Search Console me Sitemap ko Submit karna hoga. Aapko bata de ki, Google Webmaste Tools ko hi Google Search Console kehte hai, Dono same hai. Sitemap Submit karne ke liye, Sabse pehle Google Search Console me jaiye.
- Blogger Blog Ke Sabhi Post Me – Ek Saath Adsense Ads Kaise Lagaye
- Blogger Custom Domain Me HTTPS Kaise Enable Kare
- Blogger Aur WordPress ? Konsa Best Platform Blogging Ke Liye
1) Google Search Console me Login kare.
2) Ap Apne Blog Property ko Select kar, Open karen.
3) Ab left side me Crawl ke option par click kijiye.
4) Ab Sitemap par click kijiye.
5) Ab Add/Test Sitemap par click kare.
6) Ab aapke saamne ek choti si Popup Window open hogi, Isme aapko apne Blog URL ke samne sitemap.xml likhna hai.
7) Usme baad Submit Sitmap Par Click kare.
- Blogger Aur WordPress ? Konsa Best Platform Blogging Ke Liye
- Apne Blogger Blog Ko SEO Friendly Kaise Banaye | 10 Killer Tips
- Blogger Kya Hai ? What is Blog | Blogger & Blogging ? Janiye Hindi me
Ab ek baar apne page ko Refresh kare, Ab aapka Sitemap Google Search Console me Submit ho gaya hai, Niche aapko Sitemap URL ke saamne “Pending” likha show hoga. Iska matlab aapne abhi Google Webmaster Tools par Sitemap Submit kiya hai. Ise Activate hone me thoda samay lagega. Isme 1 se 2 Ghante (Hours) lag sakte hai, To aapko wait karna hoga.