Top 10 Killer Tips For Growth On Blogger | Best Blogger SEO 2018 | Hindi

Table of Contents

Hello Dosto, Aaj ke samay me lagbhag bahut se log blogging kar rahe hai. Aur Bahut se log hai jo abhi jaldi hi blogging karna start kiye hai. Naye Bloggers ke liye is field me success pana bahut hi muskil ka kaam hai. Ese me Unhe Blogger ki acchi knowledge honi chahiye. Agar aapke paas blogging ki knowledge nahi hai aur aap blogging kar rahe hai. To aap 100% success nahi paa sakte. Isliye aap jo bhi work karo, Uske baare me acche se jaankari hasil karo. Yaani ki Us field se related sabhi cheejo ki acchi knowledge hona bahut jaroori hai.


Top 10 Killer Tips For Growth On Blogger | Best Blogger SEO 2018 | Hindi

Ab aapko bata de ki , Blog to bahut log likhte hai, par blog ki sahi branding kuch log hi kar paate hai. Har din laakhon caroron log is motive ke sath blogging start karte hai ki wo isse acche paise kamayenge. Lekin bahut se new bloggers ko ye pata hi nahi hota hai ki ek successfull blogger kaise bane. Apne blog ko growth kaise dilaye. Aur phir pareshan ho kar blog chodh dete hai. To dosto, Aaj main aapko is post me Blogger ki Top 10 ese tips ke baare me bataunga, Jisko agar aap follow karte hai. To 100% aap Blogging me Success pa sakte hai. Apne Blog ko unchahyi tak pahucha sakte hai. Aur apne blog ko Ek Brand bana sakte hai. To iske liye aapko is post ko pura acche se padhna hoga.

Jab aap Blogging Career shoru karte hai. tab aap bahut si galtiyan karte hai. bahut si choti choti galtiyan karte hai, Isliye main aapko Recommend karunga ki aap Professional Bloggers ke duwara ki gayi galtiyon se sikhe aur aage badhe. Aapko bata de ki, Blogging karna bahut hi asaan kaam hai, Likin apne blog ko Maintain karke rakhna bahut hi muskil. Khas taur par jab aap Blogging ko apni jindagi maan lete hai. Aur puri tarah se is par nirbhar ho jaate hai. Ese me aapko bahut si baaton ka dhyan rakhna hota hai. Hamesha dhyan rakhiye ki Bogging ki koi limit nahi hoti. Aap jitna chahe utna is field me mehnat karke earn kar sakte hai. Lekin main aapko ek dost, hone ke naate advice dunga ki Blogging ko Full Time mat kijiye. Yaani ki Muri tarah se ispar nirbhar mat rahiye. Part time kijiye tab tak , jab tak aapko isme success nahi mil jaati. Aur Galtiyan karne se bachiye. Kyunki ek choti si galti aapke Blogging Career ko puri tarah se barbaad kar sakta hai. Isliye “Be Alert”.





Naye Bloggers Ke Liye Best Blogging Tips 2018 – For Getting Success


1) Start Blogging With Passion And More Patience.

Ye Dono hi Blogging ke liye bahut jaroori hai. Agar aapke paas in dono me se ek chij bhi nahi hogi to aap blogging me aage nahi badh sakte. Agar aap blogging shuru kar rahe hai to aapko Passion chahiye, Aur Patience to bahut jaroori hai. Kyunki blogging me Monetization ko enable me bahut samay lagta hai. isliye aapko patience rakhna bahut jaroori hai. Apne Blog ka Topic wahi choose kijiye jiske baare me aap ache se jante ho. Jis chij ke baare me aapko acchi knowledge hai wahi bataye. Ese topic mat chune jiske baare me aapko knowledge na ho. Aur Post ko Passion ke sath likhiye. Blogging se aap raaton raat ameer ya carorpati nahi ban sakte. Iske liye aapko bahut patience rakhni hogi. Aapko Paise ke liye intezar karna ho. Aur paise aapke paas tabhi aayenge jab aap sabhi rules ko acche se follow karenge. Agar aapka motive sirf paise kamana hai to aap Bloggine chodh dijiye. Kyunki ese me aapko blogging me jyada waqt nahi de payenge.

2) Blogging Strategy Banaiye

Agar aap ek naye blogger hai, to aapko apne blog ke liye time table banana hoga. Yaani ki aapko schedule banana hai. Aap apne blog me har din ek post likhte hai ya do din me ek post, yaa phir hapte me ek post likhte hai. Aur aap apne blog ki marketing me kitna samay niklte hai. In sabhi ka schedule banana hoga. Agar aap Blogging se Paise kamana chahte hai, To aapko ek serious business ki tarah sochna hoga. aur jyada samay blogging me dena hoga.

3) Social Media Marketing Strategy

Agar aapko jyada traffic chahiye. Aur apne blog ke post ko jaldi rank karna chahte hai to aapko apne sabhi post ko Social Media me share karte rahna hoga. Directly aapki post search engine me rank nahi karne wali hai. Isliye aapko Social Media ka help lena hoga Jaise :- Facebook, WhatsApp, Twitter, Google+, LinkedIn, Pinterest, Instagram, Etc. In sabhi me aapko apne blog ko aur post ko share karte rehna hai. Is tarah se aap acchi traffic gain kar sakte hai.

4) Link Building Strategy

Link Building Strategy Bahut important hai Blogging me aage badhne ke liye. Agar aapko apne blog post ko jaldi rank karana hai to aap iski madad le sakte hai. Aap apne blog se related dusre ke blogs me jaiye. Aur unke comments ko padhiye. Dusre ke blog me jaa kar unke comments me puche gaye sawaalo ke jawaab dijiye agar aapko jawaab pata hai to. Isse aapki blog ko BackLinks milengi. aur isse aapke blog ki traffice bhi increase hogi. Lekin yaad rakhiye apne blog se related hi dusre blog me jaiye. Jaise ki agar aapki blog Tech se related hai to aap dusre Tech Bloggers ke Blog me jaa sakte hai. Aur Unhi ke blog se back link banaiye jinki blog grow kar chuki hai. Jisko par day kam se kam 5000 se 10000 ke bich traffic aati ho. Isse aapko apne blog ko grow karne me kaafi madad milegi.

5) Good Relations With Other Bloggers

Apne Blog se related aur bhi dusre bloggers ke sath connected rahiye. Unke blog par jaa kar comment kijiye. Comment me puche gaye sawaalo ke jawaab dijiye. Aur other way jaise social media ke jariye bhi unse connected rahiye. Isse aapko unse bahut kuch sikhne ko milega.

6) Write Unique Content

Agar aapko Blogging me Success chahiye to uske liye sabse jyada matter karta hai “Content” . Aapki Content me jaan honi chahiye. Yaani ki Content esa likhiye jisme Information, Truth, Knowledge, Usefull, Aur Unique ho. Content kisi ka bhi copy nahi honi chahiye. Aap jo bhi likhe puri knowledge ke sath likhe. Post me likha hua har line Visitors ke liye Usefull hona chahiye. Kisi ka bhi content copy karne ki kosis bhi mat kijiye, Kyunki esa karne se search engine aapke blog ko hamesha ke liye disable kar dega. Aur uske baad aap kuch bhi likhiye, wo kabhi bhi rank nahi karega. Isliye hamesha apni soch se post likhiye.

7) Always Give Reply All The Comments

Hamesha Sabhi comment ka reply kijiye. Aapko apne sabhi visitors ke sath hamesha connect rehna hoga. Apne Readers ke sabhi comments me puche gaye sawaal ka jawaab turant de. Yaani ki Reply turant kare. Jab aap turant kisi comment ka reply karte hai to Reader ko bahut accha lagta hai. Aur wo dobara aapke site par visit karta hai.

8) Know Your Readers Opinion

Aapko apne Visitors se unke opinion ke baare me jaanna chahiye. Jo post aap likh rahe hai kya wo post aapke readers ko pasand hai. Aapke Article ke baare me apne Readers se Unke Opinion jaroor le. Ki unhe article pasand aa rahe hai ya nahi. Isse aapke blog me hone waali comments ki sankhya badh jayegi. Aur aapke visitors bhi isse bahut prabhawit honge. Aur aapko isse naye post likhne ke liye Topic ki suggestion bhi aane lagenge.

9) Make Your Blog Design A Reader Friendly

Aapke Blog ki Design bahut simple honi chahiye. Jyada Useless chije istemaal mat kijiye. Apne blog ki Template ko Reader Friendly , Mobile Friendly Aur SEO Friendly banaiye. Yaani ki Bilkul saaf sutra design hona chahiye. Jyada Images mat use kijiye. Navigation Bilkul Asaan aur badhiya honi chahiye. Navigation esa hona chahiye jisme visitors kisi bhi page me asani se ja sake. Apne Blog ke backgrond me koi image mat use kijiye. Jitna Easy aur simple aapke blog ki design hogi utne hi jyada visitors aapke blog me aayenge.

10) Use Only SEO Friendly Theme

Aapko apne Blog ke liye SEO Friendly Theme use karna hai. Blog Template aapke blog ki SEO aur Branding ke liye bahut important role ada karta hai. Isliye aapko SEO friendly theme lagana jaroori hai. Iske alawa agar Invest kar sakte hai to aap apne pasand ki koi ek Template ko Purchase kar sakte hai. Premium Theme use karne se Blog ki SEO me bahut fark padhta hai. Aur isse aapki Blog Index jaldi karti hai.

To Dosto, Ye The Blog Ko Grow karne aur is field me success paane ke liye Top 10 Tips. Agar aap mere bataye gaye sabhi points ko follow karte hai to aap bahut jald Blogging me success paa sakte hai. Lekin shuruwat me aapko Patience rakhna bahut jaroori hai. Post pasand aayi ho to Post ko Social Media me Share kare. Aur Agar aapka Blogging, Adsense, YouTube, SEO, Etc. se related koi bhi sawaal ho to aap hame kabhi bhi comment karke puch sakte hai. Iske alawa Tech Hindi Gyan ko Follow kijiye, Jisse ki hamare sabhi naye post ko notifications aapko lagatar milti rahe.

Related Post :

  • Google Adsense Auto Ads Kya Hai | Auto Ads Kyu Aur Kaise Lagaye | What is Adsense Auto Ads And How To Use It

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top