Hello Dosto, Agar aap ek naye Blogger hai, To jaroor aapke man me ek sawaal hogi, Ki hamare post search engine me Rank kyun nahi karte, Aur kaise ham apne posts ko search engine me jaldi index karaye. To aaj is post ko padhne ke baad aapki ye sikayat door ho jayegi. Mujhe ummeed hai ki aapko aapke sawaal ka jawaab poori tarah se mil jayegi, Is post ko padhne ke baad.
Jaisa ki Ham sab jante hai ki google kisi ke bhi blog post ko tab tak rank ya index nahi karta jab tak uske blog par acchi traffic nahi aata hai. Iske alawa agar aapke blog par thodi bahut traffic aa bhi rahi hai, To bhi Google aapke post ko Index karne me 2 se 3 din lagata hai. Lekin agar aap manually apne post ko google search engine me submit karte hai to aap apne post ko jaldi index kara sakte hai. Aur post ko google search me top par laa sakte hai.
Google Search Engine Me Post Ko Fast Index Kaise Karaye
Google aapke post ko Automatic search result me show karta hai, Lekin isme kaafi samay lag jata hai. Aapke blog ki traffic, post title, content, par depend karta hai ki google kitne samay me aapke post ko index karge. Lekin ek simple process hai, Jiski help se aap apne post ko google search engine me jaldi rank kara sakte hai. Search Result me post ko fast index karwana, koi badi baat nahi hai, uske liye aapko bas apne post ke link ko Console me submit karna hota hai. Lekin isse pehle aapko apne Blog ko Google search engine me submit karna hoga. aur uske baad apne blog ke sitemap ko bhi submit karna hai. → Google Search Console Me Sitemap Kaise Submit Kare.
Itna Karne ke baad aap apne post ko google search engine me jaldi rank ya index karwa sakte hai. Uske liye apne post ko aap google search console me submit karenge. Is post me main aapko step by step pura process bataunga, Ki Kaise aap apne post ko google search engine me jaldi rank kara sakte hai.
1) Sabse Pehle Google Search Console me Login Kare.
2) Uske baad apne website property par click kar, Open karle.
3) Ab aapke saamne Dashboad Open ho jayega, Left side me Crawl par click kare.
4) Ab Fetch As Google par click kare.
5) Ab aapko samne aapke blog ka URL dikh raha hoga. yahan par aapko apne blog post ke Link ko add karna hai.
Thank You Sri ram bhai
Thank You Dear, Maine aapki blog check kiya. Bahut accha kar rahe hai aap. Bas post regularly karte rahiye. Aur trending topice cover kijiye.
Thank You Dear, Maine aapki blog check kiya. Bahut accha kar rahe hai aap. Bas post regularly karte rahiye. Aur trending topics cover kijiye.
Grate and valuable content you always post thanks for sharing and keep posting
Thank You Very Much Suraj Bhai
Valuable Content That is amazing.
Kuch new batao