Hello Dosto, Tech Hindi Gyan ke ek aur naye Article/Post me aap sabhi ka bahut bahut swagat hai. Article / Post Padhne ke baad, Agar aapka koi sawaal ya daut ho to Comment karke jaroor puche. Iske alawa Is Post ko sabhi ke saath Share kare, Aur Tech Hindi Gyan ko FOLLOW / SUBSCRIBE kare, Jisse ki hamare sabhi naye post ki Notification aapko lagatar milti rahe.
Aaj Ham aapko Batayenge Broken Link Kya Hai. Aur Apne Blog ya Website me Bloken Link kaise check kare. Aur Broken Link ko remove kaise karen. Aapko bata de ki, Broken Link hamare Blog aur Website par bahut bura asar daalta hai, Broken Link se Hamare Blog Aur Website ke SEO par asar padhta hai.
Aur isse visitors ko sabse jyada problems hoti hai. isse hamare visitors bhi kam ho sakte hai. To isliye hamari aapse advice hai ki apne Blog aur Website ke sabhi Broken Links ko Check kare aur Use Remove kare. To Chaliye Sabse pehle jaante hai ki Broken Link kya hai. Ise kaise check karenge. Aur kaise remove karenge.
Broken Link Kya Hai ?
Broken matlab Kharab aur Link ka matlab to aap sabhi jaante hai. Yaani ki wo Link jo Kharab ho chuki hai. Aamtaur par Blog me do types ke Link hote hai 1) Internal Links 2) External Links. Jab koi blogger Post likhta hai to usme apne kuch purane posts ke Links add karte hai.
Jisse ki Visitors unke purane posts ko bhi padh sake. Lekin Kabhi kabhi kisi karan se kuch purane posts delete karne padhte hai ya unke permalinks ko change karna padh jata hai.
Aur unhe yaad nahi rehta ki kon konse posts me links add kiye the. Aur jab koi visitor us link par click karta hai to 404 Page Not Found ka message show hota hai. Jise Broken Link ya Dead Links bhi kaha jata hai.
Broken Links Kaise Create Hote Hai ?
Jab ham apne blog me kisi post ko publish karte hai, Aur uske paad agar hum us post ko delete kar dete hai ya us post ke permalink ko change karte hai to Broken Link Create hota hai. Agar koi bhi visitor us link par click karta hai to use 404 page not found error ka message show hota hai.
Broken Link ko Remove Ya Fix Karna Jaroori Kyun Hai ?
Broken Link ke kaaran hamare Blog aur Website ki Traffic Loss hoti hai, Iske kaaran Search Engine se Ranking girne lagti hai. Aapko bata de ki, Broken Link Blog ke post ko Search Engine me show nahi hone deta hai, Jisse Blog ke posts ke ranking girne lagti hai.
Aur agar search engine me show ho bhi jaye to visitor ko hamare site me aane me problem hoti hai, jisse visitors kam hone lagte hai. aur Organic Views milna kam ho jata hai.
Broken Links Check Kaise Kare ?
Broken Link ko Check karne ke liye aapko internet par bahut se free tools mil jayenge. Broken Links Checker ki madad se bhi aap apne blog ya website ke broken link ko check kar sakte hai.
Iske alawa internet par bahut se Free Tool Websites available hai jinki madad se aap apne website ke Broken Links ko asani se check kar sakte hai Kuch Ese hi Free Tools Website niche diye gaye hai, jinki madad se aap broken link find kar sakte hai.
Agar aapne apne blog ke kisi liks ko delete ya usme kuch update kar diya hai to, Us Broken Link ko theek karne ka sabse asan tarika hai, ki aap us links ko kisi aur page par redirect kar den, Jisse Aapke Visitors ko aapke website me aane me koi problem nahi hogi.
To Dosto, Is tarah se aap apne Blog ya Website ke Broken Links ko asani se Check kar sakte hai. Aur use Remove ya Fix bhi kar sakte hai. Mujhe ummeed hai ki aapko mere bataye gaye sabhi steps samajh me aa gayi hogi.
Agar abhi bhi aapka koi sawaal ya daut hai to aap hame comment karke jaroor puche. Iske alawa Tech Hindi Gyan ko Follow / Subscribe kijiye. Jisse ki hamare sabhi naye posts ki notifications aapko lagatar mobile me milti rahe.
hello sir
bahut dino se aap apne blog par post nahi likh rahe hai
kya karan hai
may i help you by write post for you
please sir reply