Google AdSense Me Address (PIN) Verify Kaise Kare | How To Verify Address With PIN On Google AdSense

Table of Contents

Hello Dosto, Google AdSense me Approval pana India me Chunauti Jaisa ho gaya hai. Sabhi Naye bloggers isse pareshan rehte hai. Lekin aap AdSense me approval asaani se pa sakte hai, Iske liye bas aapko AdSense ke Rules ko Padhna, Samjhna Aur Follow karna hoga. Uske baad asani se Approval mil jata hai. Lekin Adsense me approval mil jaane ke baad bhi aur bhi bahut se rules follow karne hote hai, Uske baad hi payment receive ho pata hai.

Google AdSense Me Address (PIN) Verify Kaise Kare | How To Verify Address With PIN On Google AdSense

Esa nahi hai ki AdSense me Approval mil gaya aur ab payment ham receive kar sakte hai. Approval ke baad bhi hame bahut se rules follow karne padhte hai, Jaise ki – Adsense ke Threshold complete karna, Address Verify Karna, Account Verify Karna, PIN Verify karna, Etc. In sabhi ko pehle hame complete karna hoga, Uske baad hi Payment receive ka payenge. To main aapko is post me bataunga ki Adsense me Address kaise varify karte hai PIN ke through.

Jaisa ki aapko pata hoga ki Google AdSense World ke best Advertising Company hai jo apne publishers ko acchi revenue deta hai. Isliye ye Rules aur Privacy ke mamle me thoda Strict hai. Lekin aapko ghabraane ki jaroorat nahi hai, Main aapko Adsense ke baare me ek ek karke har cheeje bataunga, Bas aap Tech Hindi Gyan ko FOLLOW kar lijiye, jisse ki hamari koi bhi post aapse miss na ho. Aaj main aapko is post me bataunga ki AdSense me PIN ke jariye Address kaise Verify karte hai.

Google Adsese PIN Kab Send Karta Hai

Jab ham Adsense Account apply karte hai, Us samay hame apna Adress fill karna hota hai. Aur Approval mil jaane ke baad Google Adsense Address verify karne ke liye en code send karta hai. ye code by post send kiya jata hai, Jo ki hamare address me send hota hai. Code ko hame receive karke apne adsense account me daalna hota hai aur account ko activate karna hota hai. Kayi baad code address tak pahuchne me 3 – 4 week se bhi jyada laga deta hai. Ese me aap Intezaar kar sakte hai. Iske alawa Google AdSense aapko Address verification code tab send karta hai jab aapke adsense account me $10 ho jaate hai. $10 complete ho jaane ke baad adsense aapke address par code send karta hai.



Address (PIN) Verify Kaise Kare

Google AdSense me Address verify karna bahut easy hai. Bas 4 – 5 Steps follow karne hai. Uske baad aap asaani se Address verify kar sakte hai. Agar aap AdSense me apne Address ko verify karwana chahte hai to Niche diye gaye steps ko follow kare.

   i) Sabse Pehle aapko Google Adsene Duwara Bheje gaye Code ko Receive karna hai.


  ii) Uske baad apne AdSense account ko Login kare.


 iii) Ab aapko Dashboard par uper ek Message show kar raha hoga, Uspar Click kare.


 iv) Ya phir – Settings >> Payment >> Account Information. Par click kare.


  v) Ab PIN Verify ka Option milega. Uspar Click kare.


 vi) Ab yahan par aapko Letter me diye gaye 6 Digit ke PIN ko Enter karna hai.


vii) Ab Submit par click kar de. Lekin submit par click karne se pehle Code me 3 – 4 baar Match kar le.

Kyunki aapko sirf 3 baar hi mauke milenge. Uske baad aapka PIN Expire ho jayega. Isliye Pin ko acche se kayi baar match kijiye. Uske baad hi Submit par click kare. Bas aapko itna hi karna hai. Itna karne ke baad aapka Address Verify ho jayega. Hai na bahut hi Simple aur Easy process.

To Dosto, Ye tha Adsense me Address Verify karne ka process. Bahut hi Simple aur Easy process hai. Hume comment karke bataye ki process aapko kaise laga (Easy Ya Hard). Mujhe ummeed hai ki aapko mere bataye gaye sabhi steps samjh me aa gayi hogi. Agar abhi bhi aapka koi sawaal ya sujhaw hai to hame comment karke jaroor bataye. Iske alawa Tech Hindi Gyan ko FOLLOW kare, Jisse ki aapko hamare sabhi naye post ki notification lagatar milti rahe.

Apne Kimti Samay Dene Aur Post Padhne Ke Liye
Thanks / Dhanyaawaad  ☺☺☺☺

Related Post :


Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top