Hello Dosto, Bahut se log apne free time me extra income karne ka sochte hai. Lekin unhe iska rasta aur tarika nahi pata hone ke kaaran , wo extra income nahi kar paate hai. Aap Online Internet se apne free time me paise kama sakte hai.
Online paise kamane ke bahut se tarike hote hai. Jinme se main aaj aapko is post me Top Best Tarikon ke baare me bataunga. Agar aapke paas 24 X 7 Days Internet Available hai to aapko online paise kamana chahiye.
Aur aajkal to sabhi ke paas Internet connection hota hai. Sabhi Social Media se conneted rehte hai. Jaise : Facebook, WhatsApp, Instagram, Google+, Linkedin, YouTube, Etc.
To Agar aap bhi inme se kisi bhi list me fit baithte hai to aap asaani se online paise kama sakte hai. Agar abhi tak aap internet ka use sirf apne entertainment ke liye kar rahe the to main aaj aapko Online paise kamane ke bare me batane ja raha hu.
Jiske baad aap internet ka use apne phayde ke liye karenge, Aap Internet se bahut se work kar sakte hai. Jaise ke , Information lena, Entertainment, Social media ke jariye dosto se joodhna, songs, movies, games, Etc. Lekin bahut se logo ko ye nahi pata hota hai ki ham Internet se Paise bhi kama sakte hai.
Aapko Internet par utna hi samay dena hoga jitna aap abhi dete hai. Iske alawa extra samay dene ki jaroorat nahi padegi. Phark sirf itna hoga ki pehle aap Internet par Entertainment ke liye waqt dete the. Aur ab aap Entertainment ke sath sath Paise kamane ke liye denge.
Aur isse aapki knowledge bhi increase hoga. Iske liye aapko alag se koi Investment nahi karna hai. Bas aapko Internet Pack dalwana hoga. Jo aap abhi bhi dalwaate hai. Aap free me bina koi Investment ke Internet se paise kama sakte hai.
Internet se Paise kamane ke liye bahut se Tarike hote hai. Internet par bahut se Options Available hai, Jisse aap Online Paise Earn Kar sakte hai. Bas aapko apne Interest (Ruchi) Ke hisab se wo Option Chunna Hoga.
Ese hi kuch Top Best Options ke baare me main aapko is Post me bataunga. Agar aap Online Paise Earn karna chahte hai, To mere duwara bataye gaye sabhi points ko acche se padhiye aur samjhiye. Uske baad Aap un points ko Follow karke Online Paise Kama Sakte Hai. To Chaliye Jante hai Wo Top Best Tarikon Ke baare me.
Top Best Way To Make Money Online In 2018
1) YouTube
YouTube to aap jante hi honge. Aajkal sabhi YouTube par Video dekhte hai. Lekin Kya aapko bata hai, Ki jo video aap YouTube par dekh rahe hai, Us video ko banane wala Paise Earn kar raha hai. Ji ha Dosto, Aap bilkul sahi sun rahe hai.
YouTube par Videos Upload karke Uspar Ads Lagakar Aap bhi paise earn kar sakte hai. Iske liye aapko koi paise pay nahi karna hai. Matlab ki Aapko koi bhi Investment nahi karna hai. Bas aapke paas G-Mail Account hona chahiye.
Aur g-mail account to aajkal sabhi ke paas hota hai. YouTube par aap apne Gmail se Login karenge, Uske baad Channel Create karke Uspar Videos Upload kar sakte hai. Aur Us video par ads show kara ke paise kama sakte hai.
2) Blog
Blog bhi ek best way hai Online Paise Earning ke liye. Agar aapko kisi chiij ki acchi knowledge hai to aap us topic pe ek blog mana kar sabhi ke saath us information ko share kar sakte hai. Isse aap dusro ki help kar sakte hai aur sath hi sath paise bhi kama sakte hai.
Blog ke jariye bahut se log paise kama rahe hai. Blog kya hai? kisi cheej ke baare me detail me likh kar batana Blog kehlata hai. Pehle ke log books likhte the, Use Ofline Blog kehte hai. aur ab ke log Internet par apne information likh kar sabhi ke sath share karte hai. Ise Online Blog kehte hai.
To aap blog likh kar bhi Paise earn kar sakte hai. Blog banane ke bhi gayi option hai, jaise ki aap blog kaha banayenge, Aur kaise banayenge. Blog aap – Blogger, WordPress, Weebly, Wix, Godaddy, Etc. par bana sakte hai. Lekin Blogger ek free aur secure option hai blog ke liye. Isliye main aapko Blogger par blog banane ko Recommend karunga.
3) Google AdSense
Naam se aap samjh gaye honge ki ye Google ka product hai. Google Adsense ke jariye aap paise kama sakte hai. Aur ye ek bahut hi popular tarika hai online paise earn karne ka. Iske jariye paise kamane ke liye bhi aako koi investment nahi karna hai.
Lekin iske liye aapke paas Ek YouTube Channel , Website , Ya Blog hona chahiye. Tabhi aap Adsense ke jariye paise kama sakte hai. Iske alawa Adsense ke bahut se Rules and Regulation hai jise aapko samjhna bahut jaroori hai.
Kyunki India me Adsense bahut Stick hai. Adsense me Approval milna bahut hard hai. Iske liye aapko Adsense ke sabhi policies ko follow karna hota hai. Kher, Ye to baad ki baat hai. Sabse pehle aapke paas ek Blog, Website ya YouTube channel hona jarooori hai tabhi aap adsense se paise earn kar payenge.
4) Affiliates Marketing
Sabse Pehle Jante hai Affiliates Marketing Kya Hai. Aap Online Shopping Sites ke baare me sune honge. Jaise ki – Amazon, Flipkart, Ebay, Snapdeal, Etc. Ye sabhi Online Shopping Sites aapke liye ek Option Provide karta hai Paise kamane ka.
Jiske duwara aap In sabhi shopping sites se paise kama sakte hai. Isme ek Program chalaya jata hai jise Affiliate Marketing Kehte hai. Aap inke Affiliate Program se join ho kar asani se paise kama sakte hai.
Iske liye bhi aapko koi investment nahi karna hoga. Lekin aapke paas ek Blog, Website, ya Facebook Page ho jaroori hai. Jisme aap inke products ke ads ko laga sake. Isme aapko inke products ko sell karna hota hai.
Aur sell karne par aapko us product ka 15% se 30% tak Commission diya jata hai. Ye tarika bhi kaafi popular hai. Aur iske jariye bahut se log paise kama rahe hai.
5) Admob
Ab aap soch rahe honge ki Admob kya hai. Main aapko bata dun ki, Admob bhi ek Google ka product hai. Jiske Through aap paise kama sakte hai. Lekin isme aapko ek Application ki jaroorat hoti hai.
Agar aapko Java, CSS, C++, HTML, etc. ki knowledge hai to aap ek Android Application bana kar Admob ke jariye paise kama sakte hai. Lekin agar aapko in sab ke baare me knowledge nahi hai to bhi aap kisi se Application manwa kar Admob se paise kama sakte hai.
Admob ke jariye aaj bahut se log pais earn kar rahe hai. Admob se paise kamane ke liye aapko pehle adsense ke liye apply karna hoga. Approval mil jaane ke baad Admob par Register kar sakte hai.
Uske baad Apne Application par Admob ke ad laga kar Google Play Store me publish kiya jata hai. Phir Jo bhi aapke application ko Download karega Aur open karega to aapko paise milte rahenge.
6) Freelancing Program
Freelancing Program ek bahut hi jyada popular way hai Online Paise Earn karne ke liye. Agar aapke paas kisi bhi field ke acchi knowledge hai to aap Freelancing Program ke saat judh kar paise kama sakte hai.
Isme aapko bina investment ke paise kamane ka vikalp hota hai. bas aapko kisi field me acchi knowledge honi chahiye. Jaise ki – Logo Making, Web Designing, Writting, Video Editing, Photo Editing, Website Development, Application Development, Blog Making, Etc.
Is tarah ki koi bhi work aap acche se jante hai to bahut hi asani se aap isme paise kama sakte hai. Freelancing me judhne ke liye bhut se websites hai jaise ki – Fiverr, Freelancer, Upwork, Guru, Toptal, Envato, Etc. in me se sabse jyada popular hai Fiverr.
Isme aapko sabse pehle Registration karna hoga. Apni poori details fill karni hogi. Name se lekar Educational Qualification tak. Uske baad aap apne interest ke hisab se work lekar sakte hai. Shuruwat me naye hone ke kaaran ordar kam milenge, Lekin jaise jaise aapki popularity padhegi waise waise aapki income bhi increase hone lag jayega.
To Dosto, Ye The top best way for Make Money Online . Inme se aapko jo point acchi lage, use chun kar use paise kama sakte hai. Ummeed karta hu ki aapko mere bataye gaye sabhi points samjh me aa gaye honge. Aur ye post pasnad ayi hogi.
Agar aapka koi sawaal ya daut hai to aap hame comment karke jaroor puche. Aur aapko ye post kaisi lagi hame comment karke bataye. Iske alawa Tech Hingi Gyan ko FOLLOW kare. Jisse ki hamare sabhi naye post ki notifications aapko lagatar milti rahe.
Apna Kimti Samay Dene Aur Post Padhne Ke Liye Thanks / Dhanyaawaad ☺☺☺☺