Blogger Aur WordPress ? Konsa Best Platform Blogging Ke Liye

Hello Dosto, Tech
Hindi Gyan ke ek aur naye Article/Post me aap sabhi ka bahut bahut swagat
hai. Article / Post Padhne ke baad, Agar aapka koi sawaal ya daut ho to Comment
karke jaroor puche. Iske alawa Is Post ko sabhi ke saath Share kare, Aur Tech
Hindi Gyan ko
SUBSCRIBE / FOLLOW
kare, Jisse ki hamare sabhi naye post ki Notification aapko lagatar milti rahe.

Blogger Aur WordPress ? Konsa Best Platform Blogging Ke Liye

Aajkal har koi Website banakar paise kamana chahta
hai. Aur ese me Blogging iska ek sabse behtar tarika hai. Blogging ke liye do
platform sabse behtar hai, jisme se aap kisi ek ko chun sakte hai. 

Blogging ke
baare me sabhi logo ko jyada jankari hai hoti hai, ese me jin logo ko blogging
me jyada jankari nahi hai ya is shetra me abhi naye hai, to wo iska chunao nahi
kar paate. Wese to Blogging ke liye bahut se Options hai, jaise – WordPress,
Blogger, Tumblr, Medium, Weebly, Etc. 

Lekin in sabhi me se WordPress Aur
Blogger hi best options hai. In dono options me se konse option ko select kare,
ye decide karna thoda muskil hota hai.kyunki in done ke apne-apne phayde aur
nuksaan hai. Chaliye jaante hai Blogger Aur WordPress me kya anter hai. Taaki
aap apne Blog ke liye ek accha aur sahi option chun sake.

1) Template
Template to aap sabhi jante honge. Agar ham
Template ke mamle me baat kare, to WordPress me Template change karna aur
design karna Blogger se asan hai. Wahin Blogger me Template ka jyada option
aapko ni milega. 

Lekin Aap Blogspot me Custom Template laga sakte hai. Agar aap
HTML Coding me Mahir hai to aap Template kharid kar apne hisab se design kar
sakte hai. Iske alawa bahut se websites hai jo free me templates deti hai, Aap
unhe bhi istemaal kar sakte hai. Lekin WordPress me aapko asani hoti hai,
Templates change karne me, Design karne me.

    2) Security

    Jaisa ki aapko pata hoga ki Blogger Google ka
    product hai, yaani ki Blogger ko Google host karta hai. Aur Google ki Security
    ke baare me bhi aap jante honge. Agar aap Blogger me Blog banate hai to aapko
    Google ki Security ka phayda milega. 

    Koi bhi aapke Blog ko Hack nahi kar sakta.
    Aur aapke Blog par chahe jitni bhi Traffic aaye Google use asani se manage kar
    payega. Iske alawa WordPress bhi bhut Secure hai. Lekin isme aapko Security ka
    pura dhyan dena hoga. Aur isme aapko bahut se plugins lagane padhte hai apne
    blog ko Hack hone se bachane ke liye.


    3) SEO
    (Search Engine Optimization)

    SEO ke mamle me Blogger ek accha option hai, Lekin
    Sahi option sayad nahi. Halanki, Blogger SEO ke mamle me pehle se kaafi behter
    ho gaya hai. Par abhi bhi Blogger ko Aur upgrade hona hoga SEO ke mamle me.
    Wordpress SEO Friendly hai. Aur Bahut saare Free Premium Plugins isme uplabdh
    hai.


      4)
      Controlling
      Blogger me har ek Blog ke saath ek simple sa manage
      system aata hai, jisse aap asani se apne blog ko manage kar sakte hai. Lekin
      agar aap apne hisab se kuch extra usme add nahi kar sakte hai. Blog me jitna
      option diya gaya hai aapko utne se hi kaam chalana padega. 

      Lekin WordPress ek
      Open Source Software hai, jisme aap jo chahe wo apni marzi se modify kar sakte
      hai. Agar aap apne company ya personal website banana chahte hai to aap asani
      se WordPress me bana sakte hai. 

      Iske alawa wordpress.org me bahut se plugins
      hote hai jise aap apne blog me istemaal karke apne blog ko ek naya look de
      sakte hai. Wordpess me aap plugins ko use karke bina coding kiye. apne blog me
      bahut sare changes kar sakte hai.


      5) Transfer

      Transfer ka ek accha option Blogger me diya gaya
      hai. Yaani ki aap apne Blogger Blog ko ki dusri platform me asani se transfer
      kar sakte hai. Blogger Export ki suvidha deta hai. Lekin Blog ko kisi dusri
      platform me transfer karne se aapka SEO kharab ho sakta hai. 


      Aapke blog ki
      ranking par effect par skata hai. jisse aapki visitors bhi kam ho sakte hai.
      Wordpress ko bhi dusri hosting platform me transfer karna jo to asani se kiya
      ja sakta hai. Transfer ka option WordPress bhi uplabdh karta hai.


        6) Updates
        Updates ke mamle me Blogger bahut piche hai.
        Blogger me Naye Updates ya Naye Features bahut kam add kiye jaate hai. Jo ki ek
        tarah se Na ke barabar hai. Lekin WordPress ek Open Source Software hai. Jiske
        karan ye kisi bhi company ke uper depend nahi hai. aur ye hamesha kuch na kuch
        naya update kiye karta hai. jisse naye feature bhi add hote rahte hai.

        7) Blogger
        Vs WordPress
        Uper ke sabhi points padh kar saap samajh gaye
        honge ki konsa Blogging Platform aapke liye behter hai. Mere hisab se dono hi
        apne apne jagan sahi hai. Lekin Aapko ye decide karna hoga ki aapke liye konsa
        platform sahi hai. 

        Aapko bata de ki, duniya bhar me jyadatar log Blogger Aur
        Wordpress me se WordPress ko chunna pasand karte hai. Aur WordPress par nirbhar
        aur jyada pharosha karte hai.

        To Dosto,
        Ummeed karta hu ki Uper bataye gaye sabhi points aapko acche se samajh me aa
        gaye honge. Aur Blogger Aur Weodpress me se konsa chunna hai ye bhi decide kar
        payenge. Agar koi bhi sawaal ya daut ho to aap hame comment karke jaroor puche. 

        Iske alawa hame comment karke bataye ki aapko konsa platform behtar lag raha
        hai Blogger ? Ya WordPress ? Iske alawa hamre sabhi post ki notification apne
        phone me lagatar paane ke liye abhi Tech Hindi Gyan ko Follow / SUBSCRIBE
        kijiye.

        Apna Kimti Samay Dene ke liye Aur Post padhne ke
        liye !!!

        Thanks / Dhanyaawaad ☺☺☺☺

        Related Posts :

        Leave a Comment